KHUDBA-E-NIKAH

 

Ay naushah meine aapka Nikah kiya
Lekin aapne ye kya kiya
Aapne tho sirf ek daana Mahr ka phenka
Aur dahej ka samundar kheencha

Aaj aapka naashta huwa bahut khoob (2)
Pulao, ande, kheema, aur badam ka doodh
Bheja, seviyan, paay, parate aur kabab
Kya aapne kabhi aisa naashta kiya tha Janab

Aaj tho aapki shaadi ka pehla din tha (2)
acchi kamaayi ka aapne daawa bhi kiya tha
Lekin afsos suit, boot, ghadi, paste, brush aur saboon
Yahan tak ki shampoo, kangi, topi lungi, itr aur perfume
Sub sasural se aaya hai, ab mein kya kahoon

 

Kal aapne manaya tha badey zor se shukrana (2)
TV, sofa, fridge, bistar, wardrobe aur gaadi miley jo tumko nazrana
Qur’an ne aapko kaha “Qawwamun” aur ye saari zimmedari aapki hai
Kithni sharm ki baat hai ki aapne Sasuraal ko zimmedar tahraya hai

Parsoon aapne jo haldi lagaayi (2)
khushi khushi baati jo mithai
Aaaj biwi ko jo baandha gaya wo laccha
Aur apne baazu par jo tumne bandha hai pyara baccha
Thumko in rasmon ka pata hi nahi, ki sahi hai ya galat hai
Kyunke tumne kabhi koi hadees ki kitaab padhi hi nahi hai

Aapne kaha tha ki padhe likhe aur Deendar hain (2)
Par aapse tho behthar unpadh aur ganwaar hain
Jo anjaane mein leliye dahej wo phir bhi theek hai
Par ab jaankar dahej maangna ya lena tho bheek hai
Dahej maangne waalon ko thodi bhi nahi hai sharam
Ki dahej dene waalon par hai ye behad zulm-o-sitam

Kithni bahu betiyon ki zindagi khilwaad bangayi
Kithni betiyon ki zindagi dushwaar ban gayi
Kithno ne dahej ke kaaran ghar chod diya
Kithnon ne dahej ke kaaran dum thod diya

Betiyon ki shaadi karna ab hogaya hai mushkil
Talaaq aur Khula ki ab saj gayi hai mehfil
Ghaflat ka chaaron ore chaaya hai andhera
Na jaane kab tumko Aql aayegi aur hoga savera

Kaash ki tum, Gharwale aur Sasural hote Deendar (2)
tho aaj thum sub na hote yun sharmsaar
Na karte shaadi ka aisa kaarobar
Na hota Muashra jihalat ka shikar

Jab thak in rasmo-riwaaj ko nahin chodoge
Thab tak zulm aur khurafath ke andhere me rahoge
Aur jab thak thum nahin banoge “Mard”
Tab tak is Muashre ko jhelna padega ye dard

Ay naushah meine aapka Nikah kiya
Lekin aapne ye kya kiya.
“Aao, Sunnat ke raaste par laut chalein,
Dahej aur riwaj ke andheron ko tod chalein.
Taake Allah ke noor se roshan ho har ghar,
Aur rahmat barse har Musalmaan par!”

 

Fayaz Pasha

 

dowry

Leave a Comment

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Scroll to Top